Here are some beautiful couplets….
Aankhoun ko nahi soojhta aazar kahan,
Ehsaas k talway main chupa khaar kahan,
jo jhaag sa uthaa tha kabhi apnay saroun,
Ab dekhiyay wo tarh pindaar kahan…

Ek or shair…

Na janay kon sa Aasaib dil main rehta ha,
Jo bhi aa k thehra makaan chor gaya,


A beautiful Nazm

Abhi woh dard baki hai ,

Agarchay waqt marham hai,

Magar kuch waqt lagta hai,

Kisi ko bhool janay mein,

Dobara dil basaanay mein ,

Abhi kuch waqt lagna hai,

Abhi woh dard baki hai,

Main kaisay naee ulfat main,

Apni zaat ko gum kar doun,

Kay maray Jism-O-Jaan mein,

Abhi woh fard baki hai,

Abhi uss shakhs ki mujh par,

Nigah-E-Sard baki hai,

Abhi to ishq k raastoon ki,

Mujh par gard baki hai,

ABHI WOH DARD BAKI HAI…

Poetry of Allama Iqbal

Mein soyi jo ik shab to dekha ye khwab
Barha aur jis say mera istaraab
Ye dekha ke mein jaa rahi hoon kahin
Andhera hai aur rah milti nahi
Larazta tha dar se mera baal baal
Kadam ka tha dehshat se uthna mahal
Jo kuch hosla paa ke aagay barhi
To dekha kataar ek larko ki thi
Zamarud si poshaak pehnay huay
Diye sab ke hatho mein jaltay huay
Wo chup chap thay agay peechay rawaan
Khuda janay jana tha un ko kaha
Isi soch mein thi ke mera laal
Mujhe is jamaat mein aya nazar
Wo peechay tha aur taiz chalta na tha
Diya us ke haathon mein jalta na tha
Kaha meine pehchan kar meri jaan
Mujhe chor kar aa gaye tum kahan
Judai mein rehti hoon mein be qarar
Parooti hoon har roz ushkoon ke haar
Na parwa meri zara tum ne ki
Gaye chor achi wafa tum ne ki
Jo bachay ne dekha mera paich o tab
Diya us ne munh phair kar yun jawab
Rulati hai tujh ko judai meri
Nahi us mein kuch bhi bhalai meri
Ye keh kar wo kuch dair tak chup raha
Diya phir dikha kar ye kehnay laga

Samajhti hai tu hogaya kia isay ?
Teray aansuoon ne hai bujhaya isay !!!!!!

ALLAMA IQBAL