Gham ha ya khushi ha tu
Meri zindagi ha tu,
Aaftoon k dour main,
Chain ki ghari ha tu,
Main khazan ki sham hoon,
Rut bahar ki ha tu,
Dostoon kay darmyan,
Wajh e dosti ha tu,
Meri sari umar main,
Aik hi kami ha tu,
Main to nahi raha,
Han magar wohi ha tu,
Nasir ◊ isi dyaar main,
kitna ajnabi ha tu


Gham ha ya khushi ha tu